Ajib Haalat Hai Jism-o-jaan Ki Hazar Pahlu Badal Raha Hun

ajib haalat hai jism-o-jaan ki hazar pahlu badal raha hun

wo mere andar utar gaya hai main KHud se bahar nikal raha hun

bahut se logon mein panw ho kar bhi chalne-phirne ka dam nahin hai

mere KHuda ka karam hai mujh par main apne pairon se chal raha hun

main kitne ashaar likh ke kaghaz pe phaD deta hun be-KHudi mein

mujhe pata hai main azhdaha ban ke apne bachche nigal raha hun

wo tez aandhi jo gard uDati hui gai hai tabhi se yaro

gali ke nukkaD pe baiTha baiTha main apni aankhen masal raha hun

abhi to aaghaz hai safar ka abhi andhere bahut milenge

tum apni shamen bacha ke rakkho charagh ban kar main jal raha hun

(1420) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Haalat Hai Jism-o-jaan Ki Hazar Pahlu Badal Raha Hun In English By Famous Poet Azm Shakri. Ajib Haalat Hai Jism-o-jaan Ki Hazar Pahlu Badal Raha Hun is written by Azm Shakri. Read famous Poem Ajib Haalat Hai Jism-o-jaan Ki Hazar Pahlu Badal Raha Hun for youth and Student by Azm Shakri. Free Download Ajib Haalat Hai Jism-o-jaan Ki Hazar Pahlu Badal Raha Hun in PDF.