Apne Dukh-dard Ka Afsana Bana Laya Hun

apne dukh-dard ka afsana bana laya hun

ek ek zaKHm ko chehre pe saja laya hun

dekh chehre ki ibarat ko khurachne ke liye

apne naKHun zara kuchh aur baDha laya hun

bewafa lauT ke aa dekh mera jazba-e-ishq

aansuon se teri taswir bana laya hun

main ne ek shahr hamesha ke liye chhoD diya

lekin us shahr ko aaankhon mein basa laya hun

itni ghaflat ki bhi nind achchhi nahin hoti hai

ai charagho uTho dekho main ziya laya hun

(1327) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Dukh-dard Ka Afsana Bana Laya Hun In English By Famous Poet Azm Shakri. Apne Dukh-dard Ka Afsana Bana Laya Hun is written by Azm Shakri. Read famous Poem Apne Dukh-dard Ka Afsana Bana Laya Hun for youth and Student by Azm Shakri. Free Download Apne Dukh-dard Ka Afsana Bana Laya Hun in PDF.