Ek Nazm Likhna Aasan Hai

ek nazm likhna bahut aasan hai

ek kaghaz aur qalam

hona chahiye

aur dimagh aur ek dil

aur wo lafz

jo nazm likhna chah rahe hon

aur dil aur dimagh ke darmiyan

ek silsila

lekin kabhi kabhi nazm nahin

nazm nahin likhi ja sakti

dil aur dimagh aur lafz

kaghaz aur qalam

jab in mein se koi ek nahin hota

to phir

nazm darmiyan se kho jati hai

(880) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ek Nazm Likhna Aasan Hai In English By Famous Poet Azra Abbas. Ek Nazm Likhna Aasan Hai is written by Azra Abbas. Read famous Poem Ek Nazm Likhna Aasan Hai for youth and Student by Azra Abbas. Free Download Ek Nazm Likhna Aasan Hai in PDF.