Ek Nazm Likhna Mushkil Hai

ise wahi jaanta hai

jis ne ek bachcha jana ho

ya use janm dene se

pahle baha diya ho

donon dukh ek hi hain

jaise tumhein

garm garm jalte hue lohe se

dagha ja raha ho

ya tumhaare jism ko

guda ja raha ho

ek sire se dusre sire tak

andhere aur sannaTe mein

darwaza ho na koi shigaf

ki aawaz bahar ja sake

bas jaise

ek kund chhuri jo tumhaare hi hathon

tumhaari gardan kaT rahi ho

aur is lazzat-amez KHud-aziyyati mein

tum KHud ko halkan hote hue

dekh rahe ho

lamha-ba-lamha

ek wajud ko

dusre se bahar dhakelna

bahar aaludgiyon ke Dher par

dhire dhire

koi nam dene ke liye

(872) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Nazm Likhna Mushkil Hai In English By Famous Poet Azra Abbas. Ek Nazm Likhna Mushkil Hai is written by Azra Abbas. Read famous Poem Ek Nazm Likhna Mushkil Hai for youth and Student by Azra Abbas. Free Download Ek Nazm Likhna Mushkil Hai in PDF.