Ek Nazm Roz Aati Hai

wo aati hai

roz mere bahut qarib

mujhe sahlati hai

gudgudati hai

uTho uTho

main hairat aur KHushi se

use dekhti hun

tum kab aain?

abhi abhi to aai hun

wo mere sine par apna sar rakh deti hai

mere pistanon se khelti hai

mere honTon ko chusti hai

meri naf ke niche

bahut niche

meri sans upar ki upar rah jati hai

main kunwariyon ki tarah

tilmilati hun

bal khati hun

wo mujhe uThati hai

mere kapDe ek ek kar ke utarti hai

wo meri aankhon mein aankhen Dal kar

hansti hai

uTTho

main baDbaDati rahti hun

aisi hi be-sudh

hairat se aur KHushi se

uTTho

wo meri gardan mein banhen Dal kar

kahti hai

wo mujhe dur se dekhti hai

aur canwas par meri madar-zad

taswir banati hai

main be-sudh paDi rahti hun

is Dar se ki kahin wo chali na jae

main use Dubona chahti hun

ek hi war par us par chaDh dauDna

us par bilbila kar hamla karna

main bhi chahti hun use aise hi

apni giraft mein le aaun

lekin is se pahle ki

main harakat karun

wo chham-chham karti

khiDki ya darwaze se bahar

bhag jati hai

main be-sudh

hairat aur KHauf se

aur malamat se

aankhen phaDe use dekhti

rahti hun

wo chali jati hai

roz aisa hi hota hai

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Nazm Roz Aati Hai In English By Famous Poet Azra Abbas. Ek Nazm Roz Aati Hai is written by Azra Abbas. Read famous Poem Ek Nazm Roz Aati Hai for youth and Student by Azra Abbas. Free Download Ek Nazm Roz Aati Hai in PDF.