Jila-watan Hone Se Pahle

is KHabar ke aane ke baad

main apne ghar ki khiDkiyan

band karti hun

bijli ke tar switch-off kar deti hun

freeze mein rakha khana

paDos mein de deti hun

bacha hua dudh gali ki billi ke aage

Dal deti hun

aur ek gilass ThanDa pani piti hun

tamam darwaze lock kar ke

saDak par nikal jati hun

dopahar se pahle

ya raat ke kisi pahar

sarkari gaDi mein

sarkari murda-KHane mein

mujhe baqi jila-watanon ke sath

phenk diya jaega

aur ek KHabar chhapegi

mulzima fulan-bint-e-fulan ke ghar

purane sanduq mein

purane kapDon ki tahon mein

bahut si nazmen

qabil-e-e'tiraaz haalat mein pai gain

(905) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jila-watan Hone Se Pahle In English By Famous Poet Azra Abbas. Jila-watan Hone Se Pahle is written by Azra Abbas. Read famous Poem Jila-watan Hone Se Pahle for youth and Student by Azra Abbas. Free Download Jila-watan Hone Se Pahle in PDF.