Kahen Se Koi Nuqta Aa Jae

jo kisi bhi lafz par

na lagaya ja sake

aur wo nuqta

alahida

alag-thalag

khaDa rahe

kisi bhi guman ke sahaare

is intizar mein

ki koi aisa lafz aa jae

jis par use lagaya ja sake

ye bhi ho sakta hai

wo nuqta

sadiyon us lafz ka

intizar karta rahe

ye bhi ho sakta hai

sadha sal guzar jaane ke baad

ye sare lafz bosida ho jaen

aur gal-saD kar

tahlil ho jaen

aur kuchh baqi na rahe

sirf wo nuqta rah jae

(927) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kahen Se Koi Nuqta Aa Jae In English By Famous Poet Azra Abbas. Kahen Se Koi Nuqta Aa Jae is written by Azra Abbas. Read famous Poem Kahen Se Koi Nuqta Aa Jae for youth and Student by Azra Abbas. Free Download Kahen Se Koi Nuqta Aa Jae in PDF.