Mez Par Rakhe Hath

mez par rakhe hain hath

hathon ko mez par se uThati hun

phir bhi paDe rahte hain

mez par

aur hanste hain

mez par rakhe

apne hi do hathon ko

hathon se uThana mushkil lagta hai

mein hathon ko danton se

uThati hun

par hath nahin uThte

mez par rah jate hain

danton ke nishanon se bhare hue

sakit aur ghurte hue

main bhi hathon ko ghurti hun

mez ka rang aaankhon mein

bhar jata hai

main aanhken band kar leti hun

so jati hun

mez par rakhe hue hathon par

sar rakh kar

(990) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Mez Par Rakhe Hath In English By Famous Poet Azra Abbas. Mez Par Rakhe Hath is written by Azra Abbas. Read famous Poem Mez Par Rakhe Hath for youth and Student by Azra Abbas. Free Download Mez Par Rakhe Hath in PDF.