Tumhaare Aane Ke Baad

tumhaare aane se pahle

kunji tale mein

ghumti hai

tumhaare daKHil hone ki aawaz aati hai

tum dhamake-dar panw

rakhte hue

aahista se ya kabhi tezi se

kamre mein kahin kisi taraf

jate hue

phir thoDi dair tak

wahin khaDe rahte ho

shayad mere sakit jism ko

dekhte ho

jo tumhaari harakat ki aawaz par

kan lagae paDa hota hai

kabhi be-KHabari mein

kabhi aagah

phir tum pani pite ho

ya nahin pite

thoDe waqfe tak

KHamoshi rahti hai

ghaDi ki Tik Tik ke darmiyan

tumhaare niwale chabane ki aawaz

sunai deti hai

aur kabhi ye aawaz mere jism ke

gard ghumne lagti hai

aur mein be-KHabar

aur kabhi aagah

tumhaari niwale chabane ki aawaz mein

shamil ho jati hun

(1099) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Aane Ke Baad In English By Famous Poet Azra Abbas. Tumhaare Aane Ke Baad is written by Azra Abbas. Read famous Poem Tumhaare Aane Ke Baad for youth and Student by Azra Abbas. Free Download Tumhaare Aane Ke Baad in PDF.