Par Saubat Raston Ki Garmiyan Bhi De Gaya

par saubat raston ki garmiyan bhi de gaya

aane wali chhanw ki KHush-fahmiyan bhi de gaya

saKHt bijon se sunahri baaliyan bhi bhar gain

garm jhonka mausamon ki saKHtiyan bhi de gaya

baadalon ki aas us ke sath hi ruKHsat hui

shahr ko wo aag ki be-rahmiyan bhi de gaya

ehtisab us ka amal tha us se wo farigh hua

waqt saDkon ko luTi shahzadiyan bhi de gaya

bebasi aur bhuk mein jo hausle deta raha

pyar karne ki mujhe kamzoriyan bhi de gaya

Tahniyan phulon se lad kar rab ke aage jhuk gain

mausam-e-gul jate jate titliyan bhi de gaya

aasman ne man zamin ki god to bhar di magar

de ke beTe un ko kuchh na-samjhiyan bhi de gaya

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Par Saubat Raston Ki Garmiyan Bhi De Gaya In English By Famous Poet Azra Waheed. Par Saubat Raston Ki Garmiyan Bhi De Gaya is written by Azra Waheed. Read famous Poem Par Saubat Raston Ki Garmiyan Bhi De Gaya for youth and Student by Azra Waheed. Free Download Par Saubat Raston Ki Garmiyan Bhi De Gaya in PDF.