Ek Huk Si Jab Dil Mein UTThi Jazbaat Hamare Aa Pahunche

ek huk si jab dil mein uTThi jazbaat hamare aa pahunche

alfaz jo zehn mein mauzun the honTon ke kinare aa pahunche

haalat gham-e-dil kah na sake aur dard-e-darun bhi sah na sake

aansu jo hisar-e-chashm mein the palkon ke sahaare aa pahunche

manjhdar mein the aur Dar ye tha ki Dub hi jaenge ab hum

maujon mein jo lahrai kashti tinkon ke sahaare aa pahunche

hum josh-e-jawani mein aa kar ek la-mahdud safar mein the

malum hua manzil ye na thi jab ghaT kinare aa pahunche

ek umr guzari thi hum ne mazlumon ki hi himayat mein

jab gosha-nashini ki Thani phir zulm ke mare aa pahunche

bachpan mein bahut dukh hota tha mazlum ki aah-o-zari par

hote hi jawan bahlane ko duniya ke nazare aa pahunche

duniya ke hawadis ne itna pamal kiya hum ko 'jauhar'

bachne ki koi ummid na thi qismat ke sitare aa pahunche

(730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Huk Si Jab Dil Mein UTThi Jazbaat Hamare Aa Pahunche In English By Famous Poet B S Jain Jauhar. Ek Huk Si Jab Dil Mein UTThi Jazbaat Hamare Aa Pahunche is written by B S Jain Jauhar. Read famous Poem Ek Huk Si Jab Dil Mein UTThi Jazbaat Hamare Aa Pahunche for youth and Student by B S Jain Jauhar. Free Download Ek Huk Si Jab Dil Mein UTThi Jazbaat Hamare Aa Pahunche in PDF.