Ghar Mein Rahte Hue Dar Lagta Hai

ghar mein rahte hue Dar lagta hai

ab bayaban hi ghar lagta hai

panw rakhta hun to dhansti hai zamin

sar uThata hun to sar lagta hai

qatl-o-ghaarat hai gali kuchon mein

shahr-e-dahshat ka nagar lagta hai

Dagmagati hai dhamakon se zamin

aasman zer-o-zabar lagta hai

zindagi yun to guzar jaegi

kitna mushkil ye safar lagta hai

ghair to ghair hamein aaj ke din

apne ham-sae se Dar lagta hai

(679) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ghar Mein Rahte Hue Dar Lagta Hai In English By Famous Poet B S Jain Jauhar. Ghar Mein Rahte Hue Dar Lagta Hai is written by B S Jain Jauhar. Read famous Poem Ghar Mein Rahte Hue Dar Lagta Hai for youth and Student by B S Jain Jauhar. Free Download Ghar Mein Rahte Hue Dar Lagta Hai in PDF.