Hai Bahut Mushkil Nikalna Shahr Ke Bazar Mein

hai bahut mushkil nikalna shahr ke bazar mein

jab se jakDa hun main kamre ke dar-o-diwar mein

chhe baras ke baad ek sune makan ke baam-o-dar

bas gae hain phir kisi ke jism ki mahkar mein

mujh ko apne jism se bahar nikalna chahiye

warna mera dam ghuTega is andhere ghaar mein

yaad use ek pal bhi karne ki mujhe fursat nahin

mubtala sadiyon se mera dil hai jis ke pyar mein

dekhte hain log jab 'KHawar' purani aankh se

kya nazar aae koi KHubi nae fankar mein

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Bahut Mushkil Nikalna Shahr Ke Bazar Mein In English By Famous Poet Badiuzzama Khawar. Hai Bahut Mushkil Nikalna Shahr Ke Bazar Mein is written by Badiuzzama Khawar. Read famous Poem Hai Bahut Mushkil Nikalna Shahr Ke Bazar Mein for youth and Student by Badiuzzama Khawar. Free Download Hai Bahut Mushkil Nikalna Shahr Ke Bazar Mein in PDF.