Kab Bayaban Rah Mein Aaya Ye Samjha Hi Nahin

kab bayaban rah mein aaya ye samjha hi nahin

chalte rahne ke siwa dhyan aur kuchh tha hi nahin

karb-e-manzil ka ho kya ehsas in ashjar ko

jin ke sae mein musafir koi Thahra hi nahin

kis ko batlate ki aae hain kahan se kaun hain

hum faqiron ka kisi ne haal puchha hi nahin

kya talab karta kisi se zindagi ka KHun-baha

mujrmon mein mera qatil koi nikla hi nahin

be-tahasha pyar ki daulat luTai umr bhar

dosti ka hum ne kuchh anjam socha hi nahin

ghumta paya gaya tha shahr mein wo ek din

phir kisi ne tere diwane ko dekha hi nahin

dosto 'KHawar' sunae kya tumhein taza ghazal

muddaton se us ne koi sher likkha hi nahin

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Bayaban Rah Mein Aaya Ye Samjha Hi Nahin In English By Famous Poet Badiuzzama Khawar. Kab Bayaban Rah Mein Aaya Ye Samjha Hi Nahin is written by Badiuzzama Khawar. Read famous Poem Kab Bayaban Rah Mein Aaya Ye Samjha Hi Nahin for youth and Student by Badiuzzama Khawar. Free Download Kab Bayaban Rah Mein Aaya Ye Samjha Hi Nahin in PDF.