KhaDa Tha Kaun Kahan Kuchh Pata Chala Hi Nahin

khaDa tha kaun kahan kuchh pata chala hi nahin

main raste mein kisi moD par ruka hi nahin

hawaen tez thin itni ki ek dil ke siwa

koi charagh sar-e-rahguzar jala hi nahin

kahan se KHanjar-o-shamshir aazmata main

mere adu se mera samna hua hi nahin

dukhon ki aag mein har shaKHs jal ke rakh hua

kisi gharib ke dil se dhuan uTha hi nahin

hamara shahr-e-tamanna bahut hasin tha magar

ujaD ke rah gaya aisa ki phir basa hi nahin

wo ban gaya mera naqid pata nahin kyun kar

mera kalam to us ne kabhi paDha hi nahin

main apne daur ki aawaz tha magar 'KHawar'

kisi ne bazm-e-jahan mein mujhe suna hi nahin

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KhaDa Tha Kaun Kahan Kuchh Pata Chala Hi Nahin In English By Famous Poet Badiuzzama Khawar. KhaDa Tha Kaun Kahan Kuchh Pata Chala Hi Nahin is written by Badiuzzama Khawar. Read famous Poem KhaDa Tha Kaun Kahan Kuchh Pata Chala Hi Nahin for youth and Student by Badiuzzama Khawar. Free Download KhaDa Tha Kaun Kahan Kuchh Pata Chala Hi Nahin in PDF.