Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad

bagh-e-dil mein koi ghuncha na khila tere baad

bhul kar aai na is samt saba tere baad

teri zulfon ki mahak tere badan ki KHushbu

DhunDhti phirti hai ek pagli hawa tere baad

wahi mele wahi panghaT wahi jhule wahi git

ganw mein par koi tujh sa na mila tere baad

andhi raaton ki syahi mera maqdur hui

koi tara mere aangan na gira tere baad

de diya apne dil-o-jaan ka ek ek qatra

aur kya chahti hai teri sada tere baad

jism mera tha magar ruh ka malik tha aur

kaisi ayyari ka ye raaz khula tere baad

had-e-imkan talak kirnen wafa ki bikhren

jism mera kai zaKHmon se saja tere baad

tu hi ghaalib nahin ek jaur-e-falak ka mara

mere ghar aaya hai tufan-e-bala tere baad

kisi KHush-fahmi mein rahta hai tu badnam-'nazar'

kaun rakkhega tujhe yaad bhala tere baad

(970) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad In English By Famous Poet Badnam Nazar. Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad is written by Badnam Nazar. Read famous Poem Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad for youth and Student by Badnam Nazar. Free Download Bagh-e-dil Mein Koi Ghuncha Na Khila Tere Baad in PDF.