Diwar-o-dar Ka Nam Tha Koi Makan Na Tha

diwar-o-dar ka nam tha koi makan na tha

main jis zamin par tha wahan aasman na tha

main dushmanon ki tarah raha KHud se dur kyun

apne siwa to koi mere darmiyan na tha

qadmon mein tapti ret thi chaaron taraf thi aag

aur zindagi ke sar par koi saeban na tha

DhunDi thi man ki god mein ja-e-aman magar

bechainiyon ko meri wahan bhi aman na tha

mere safar mein bhiD jo thi ham-qadam meri

yaadon ki thi baraat koi karwan na tha

apne hisar-e-jism mein kab rah saka 'nazar'

dekha gaya tha us ko jahan wo wahan na tha

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diwar-o-dar Ka Nam Tha Koi Makan Na Tha In English By Famous Poet Badnam Nazar. Diwar-o-dar Ka Nam Tha Koi Makan Na Tha is written by Badnam Nazar. Read famous Poem Diwar-o-dar Ka Nam Tha Koi Makan Na Tha for youth and Student by Badnam Nazar. Free Download Diwar-o-dar Ka Nam Tha Koi Makan Na Tha in PDF.