Aasman Par Kale Baadal Chha Gae

aasman par kale baadal chha gae

ghar ke andar aaine dhundla gae

kya ghazab hai ek bhi koyal nahin

sab baghiche aam ke manjara gae

ghaTte baDhte faslon ke darmiyan

dafatan do raste bal kha gae

Dubta hai aa ke suraj un ke pas

wo dariche mere dil ko bha gae

shahr kya duniya badal kar dekh lo

phir kahoge hum to ab ukta gae

samne tha be-ruKHi ka aasman

is liye wapas zamin par aa gae

yaad aaya kuchh gira tha TuT kar

be-KHudi mein KHud se kal Takra gae

hurmat-e-lauh-o-qalam jati rahi

kis tarah ke log adab mein aa gae

hum hain mujrim aap mulzim bhi nahin

aap kis anjam se ghabra gae

ho gai hai shoala-zan har shaKH-e-gul

baDh rahe the hath jo tharra gae

dhans gae jo ruk gae the rah mein

dekhte the muD ke jo pathra gae

ghar ki tanhai jab aangan ho gai

ye sitare kya qayamat Dha gae

the muKHatab jism lahje be-shumar

jaan-balab arman 'KHalish' ghazla gae

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasman Par Kale Baadal Chha Gae In English By Famous Poet Badr-e-Alam Khalish. Aasman Par Kale Baadal Chha Gae is written by Badr-e-Alam Khalish. Read famous Poem Aasman Par Kale Baadal Chha Gae for youth and Student by Badr-e-Alam Khalish. Free Download Aasman Par Kale Baadal Chha Gae in PDF.