Damak UThi Hai Faza Mahtab-e-KHwab Ke Sath

damak uThi hai faza mahtab-e-KHwab ke sath

dhaDak raha hai ye dil kis rabab-e-KHwab ke sath

haTe ghubar jo lau se to meri jot jage

jalun main phir se nai aab-o-tab-e-KHwab ke sath

hai sau adaon se uryan fareb-e-rang-e-ana

barahna hoti hai lekin hijab-e-KHwab ke sath

to kyun saza mein ho tanha gunahgar koi

yahan to jite hain sab irtikab-e-KHwab ke sath

sharar-e-sang se sanglaKH ho gae talwe

hua na kuchh dil-e-KHana-KHarab-e-KHwab ke sath

sulae rakkha hamein bhi fareb-e-manzil ne

chale the hum bhi kisi ham-rakab-e-KHwab ke sath

suragh milta nahin pyas ke safinon ka

bhanwar bhi hote hain shayad sarab-e-KHwab ke sath

haqiqaton ki chaTanon pe chal gaya jadu

lo wo bhi chalne lagin ab sahab-e-KHwab ke sath

ajab nahin wahi manzar nazara ban jae

Dara raha hai ye Dar iztirab-e-KHwab ke sath

daraDen rah gain bedariyon ke naqshe par

na hum rahe na wo tum inqalab-e-KHwab ke sath

nigah-e-dida-e-tabir ke hawale 'KHalish'

hai ye bayaz alag intiKHab-e-KHwab ke sath

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Damak UThi Hai Faza Mahtab-e-KHwab Ke Sath In English By Famous Poet Badr-e-Alam Khalish. Damak UThi Hai Faza Mahtab-e-KHwab Ke Sath is written by Badr-e-Alam Khalish. Read famous Poem Damak UThi Hai Faza Mahtab-e-KHwab Ke Sath for youth and Student by Badr-e-Alam Khalish. Free Download Damak UThi Hai Faza Mahtab-e-KHwab Ke Sath in PDF.