Gaurayyon Ne Jashn Manaya Mere Aangan Barish Ka

gaurayyon ne jashn manaya mere aangan barish ka

baiThe baiThe aa gai nind israr tha ye kisi KHwahish ka

chand kitaben thoDe sapne ek kamre mein rahte hain

main bhi yahan gunjaish bhar hun kis ko KHayal aaraish ka

Thahar Thahar kar kaund rahi thi bijli bahar jangal mein

train ruki to sarpaT ho gaya ghoDa waqt ki tazish ka

Tis purane zaKHmon ki thi nind uchaT gai aankhon se

bhig raha tha karwaT karwaT gosha gosha baalish ka

kisi ke dil par dastak dunga kisi ke gham ka dukhDa hun

sunne wale samajh rahe hain naghma hun farmaish ka

sar ke upar KHak uDi to sab dil tham ke baiTh gae

KHabar nahin thi guzar chuka hai mausam abr-e-nawazish ka

reng rahi thin amar-lataen chhup chhup kar shadabi mein

uryan hoti shaKHon se ab bharam khula zebaish ka

apni hi dhun mein magan rahta hai sachche sur ka sazinda

jaise ki main hun matwala KHud apne tarz-e-nigarish ka

qadam qadam hai virana kahin aur 'KHalish' ab kya jaana

warna shauq mujhe bhi kal tha sahra ki paimaish ka

(908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gaurayyon Ne Jashn Manaya Mere Aangan Barish Ka In English By Famous Poet Badr-e-Alam Khalish. Gaurayyon Ne Jashn Manaya Mere Aangan Barish Ka is written by Badr-e-Alam Khalish. Read famous Poem Gaurayyon Ne Jashn Manaya Mere Aangan Barish Ka for youth and Student by Badr-e-Alam Khalish. Free Download Gaurayyon Ne Jashn Manaya Mere Aangan Barish Ka in PDF.