Gum Hue Jate Hain DhaDkan Ke Nishan Ham-nafaso

gum hue jate hain dhaDkan ke nishan ham-nafaso

hai dar-e-dil pe koi sang-e-giran ham-nafaso

risne lagti hain jab aankhon se tezabi yaaden

baat karte hue jalti hai zaban ham-nafaso

dil se lab tak koi kohram sa sannaTa hai

KHud-kalami mujhe le aai kahan ham-nafaso

ek subuk mauj hai ek lauh-e-daraKHshan pe rawan

hai tamashai yahan sara jahan ham-nafaso

kitne masruf hain masrur nahin phir bhi ye log

hai ye kya silsila-e-kar-e-ziyan ham-nafaso

sham tamhid-e-ghazal raat hai takmil-e-ghazal

din nikalte hi nikal jati hai jaan ham-nafaso

rashk-e-mahshar koi qamat to nigahon mein jache

dil mein baqi hai abhi tab-o-tawan ham-nafaso

zinda ho rasm-e-junun kis ki nawa-rezi se

ab raha kaun yahan shoala-ba-jaan ham-nafaso

aaj ki sham ghazal kyun na 'KHalish' se hi sunen

DhunD kar lae koi hai wo kahan ham-nafaso

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gum Hue Jate Hain DhaDkan Ke Nishan Ham-nafaso In English By Famous Poet Badr-e-Alam Khalish. Gum Hue Jate Hain DhaDkan Ke Nishan Ham-nafaso is written by Badr-e-Alam Khalish. Read famous Poem Gum Hue Jate Hain DhaDkan Ke Nishan Ham-nafaso for youth and Student by Badr-e-Alam Khalish. Free Download Gum Hue Jate Hain DhaDkan Ke Nishan Ham-nafaso in PDF.