Kis Ko Fursat Kaun PaDhega Chehre Jaisa Sachcha Sach

kis ko fursat kaun paDhega chehre jaisa sachcha sach

roz adalat mein chalta hai khoTa sikka jhuTa sach

unche KHwabon ke tajir se koi nahin ye puchhne wala

kaun jawanon ke chehron par likh deta hai pila sach

hum se kya puchhoge sahab shahr kabhi ka TuT chuka

sham ki maili chadar par hai TukDe TukDe phaila sach

un aankhon mein mustaqbil ke KHwab bhala kya utrenge

jin aankhon ne dekh liya hai waqt se pahle nila sach

us ke beTa beTi college usi taraf se jate hain

raat ko jis ne beach saDak par phenka hai ek gila sach

sab ne hum ko KHush-haali ke KHwab dikha kar chhoD diya

galiyon galiyon ghum raha hai dhul mein lipTa nanga sach

'badr' tumhaari rah mein aa kar duniya jal bichhaegi

jo kahte ho kahte rahna chhoD na dena likhna sach

(925) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ko Fursat Kaun PaDhega Chehre Jaisa Sachcha Sach In English By Famous Poet Badr Wasti. Kis Ko Fursat Kaun PaDhega Chehre Jaisa Sachcha Sach is written by Badr Wasti. Read famous Poem Kis Ko Fursat Kaun PaDhega Chehre Jaisa Sachcha Sach for youth and Student by Badr Wasti. Free Download Kis Ko Fursat Kaun PaDhega Chehre Jaisa Sachcha Sach in PDF.