Phal DaraKHton Se Gire The Aandhiyon Mein Thaal Bhar

phal daraKHton se gire the aandhiyon mein thaal bhar

mere hisse mein magar aae nahin rumal bhar

pahle sare panchhiyon ko par milen parwaz ke

phir shikari se kahe koi ki apna jal bhar

mausamon ki saKHtiyan to baadalon si uD gain

aaj bhi mahfuz kab hai dil ka shisha baal-bhar

dhund hi chhai rahi aankhon mein tum se kya kahen

ab to yaro ek sa rahta hai mausam sal-bhar

dhup ki man-maniyon par muskuraate the kabhi

in tanawar peDon par patte bache hain Dal-bhar

ek shai ka nam jo batlae us ka nam ho

apni galiyon mein nahin hai mumbai si chaal bhar

aur hum se kya taqaza hai tera asr-e-rawan

jaan-o-tan ka nam hai bas haDDiyon par khaal-bhar

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phal DaraKHton Se Gire The Aandhiyon Mein Thaal Bhar In English By Famous Poet Badr Wasti. Phal DaraKHton Se Gire The Aandhiyon Mein Thaal Bhar is written by Badr Wasti. Read famous Poem Phal DaraKHton Se Gire The Aandhiyon Mein Thaal Bhar for youth and Student by Badr Wasti. Free Download Phal DaraKHton Se Gire The Aandhiyon Mein Thaal Bhar in PDF.