Ghamgin Nahin Hun Dahr Mein To Shad Bhi Nahin

ghamgin nahin hun dahr mein to shad bhi nahin

aabaad agar nahin hun to barbaad bhi nahin

milti teri wafa ki mujhe dad bhi nahin

majnun nahin hai dahr mein farhad bhi nahin

kahta hai yar jurm ki pate ho tum saza

insaf agar nahin hai to be-dad bhi nahin

insan ki qadr kya hai jo ho tere ru-ba-ru

tere muqable mein pari-zad bhi nahin

afsos kis se yar ki khinchwaiye shabih

'mani' nahin jahan mein hai 'bahzad' bhi nahin

karta hai uzr-e-jaur-o-jafa yar tu abas

hona jo tha hua wo hamein yaad bhi nahin

kushta hua hun abru-e-KHamdar-e-yar ka

mere liye zarurat-e-jallad bhi nahin

hasrat bhare hue gae duniya se saikaDon

tasdiq kis se kijiye shaddad bhi nahin

'bahram' mere zor-e-tabiat se hai suKHan

shagird main nahin hun to ustad bhi nahin

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghamgin Nahin Hun Dahr Mein To Shad Bhi Nahin In English By Famous Poet Bahram Ji. Ghamgin Nahin Hun Dahr Mein To Shad Bhi Nahin is written by Bahram Ji. Read famous Poem Ghamgin Nahin Hun Dahr Mein To Shad Bhi Nahin for youth and Student by Bahram Ji. Free Download Ghamgin Nahin Hun Dahr Mein To Shad Bhi Nahin in PDF.