Dur Ho Dard-e-dil Ye Aur Dard-e-jigar Kisi Tarah

dur ho dard-e-dil ye aur dard-e-jigar kisi tarah

aaj to ham-nashin use la mere ghar kisi tarah

tir-e-mizha ho yar ka aur nishana dil mera

tir pe tir ta-ba-kai kije hazar kisi tarah

nala ho ya ki aah ho sham ho ya pagah ho

dil mein buton ke hae hae kije asar kisi tarah

aai shab-e-firaq hai raat hai saKHt ye bahut

kije shumar-e-aKHtaran ta ho sahar kisi tarah

ishq mein dil se hum hue mahw tumhaare ai buto

KHali hain chashm-o-dil karo in mein guzar kisi tarah

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dur Ho Dard-e-dil Ye Aur Dard-e-jigar Kisi Tarah In English By Famous Poet Bahram Ji. Dur Ho Dard-e-dil Ye Aur Dard-e-jigar Kisi Tarah is written by Bahram Ji. Read famous Poem Dur Ho Dard-e-dil Ye Aur Dard-e-jigar Kisi Tarah for youth and Student by Bahram Ji. Free Download Dur Ho Dard-e-dil Ye Aur Dard-e-jigar Kisi Tarah in PDF.