Duniya Mein Ibaadat Ko Teri Aae Hue Hain

duniya mein ibaadat ko teri aae hue hain

par husn-e-butan dekh ke ghabrae hue hain

afsos ibaadat na teri ho saki hum se

gardan nahin uThti hai ki sharmae hue hain

ilzam nahin tur jo surma hua jal kar

musa bhi tajalli se to sharmae hue hain

main barhaman o shaiKH ki takrar se samjha

paya nahin us yar ko jhunjhlae hue hain

kabe se na raghbat hamein ne dair ki KHwahish

hum KHana-e-dil mein jo use pae hue hain

hai kaun si ja ho jo tere jalwe se KHali

mazmun hum ab dil mein yahi lae hue hain

zillat ke KHaridar hue hirs ke bande

hajat ke liye hath jo phailae hue hain

jis qaum mein dekha to tajassus tera paya

mabad tere har qaum mein Thahrae hue hain

'bahram' ghazal aur bhi ek un ko suna de

mushtaq teri bazm mein sab aae hue hain

(1092) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Mein Ibaadat Ko Teri Aae Hue Hain In English By Famous Poet Bahram Ji. Duniya Mein Ibaadat Ko Teri Aae Hue Hain is written by Bahram Ji. Read famous Poem Duniya Mein Ibaadat Ko Teri Aae Hue Hain for youth and Student by Bahram Ji. Free Download Duniya Mein Ibaadat Ko Teri Aae Hue Hain in PDF.