Bahs Kyun Hai Kafir-o-din-dar Ki

bahs kyun hai kafir-o-din-dar ki

sab hai qudrat dawar-e-dawwar ki

hum saf-e-qalu-bala mein kya na the

kuchh nai KHwahish nahin didar ki

DhunDh kar dil mein nikala tujh ko yar

tu ne ab mehnat meri be-kar ki

shakl-e-gul mein jalwa karte ho kabhi

gah surat bulbul-e-gulzar ki

aap aate ho kabhi subha-ba-kaf

karte ho KHwahish kabhi zunnar ki

lan-tarani aap ki musa se thi

har jagah hajat nahin inkar ki

KHas hain maqtul-e-shamshir-e-jafa

kuchh to lazzat hai teri talwar ki

dair-o-kaba mein kalisa mein phire

har jagah hum ne talash-e-yar ki

sab ki hai taqdir tere hath mein

kya shikayat muslim o kuffar ki

hum mein jauhar the ibaadat KHas ke

kar diya insan ye miTTi KHwar ki

mahr-o-mah ko umr bhar dekha kiye

thi tamanna ru-e-pur-anwar ki

aur ai 'bahram' ek likkho ghazal

aap ko qillat nahin ashaar ki

(778) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahs Kyun Hai Kafir-o-din-dar Ki In English By Famous Poet Bahram Ji. Bahs Kyun Hai Kafir-o-din-dar Ki is written by Bahram Ji. Read famous Poem Bahs Kyun Hai Kafir-o-din-dar Ki for youth and Student by Bahram Ji. Free Download Bahs Kyun Hai Kafir-o-din-dar Ki in PDF.