Hum Na But-KHane Mein Ne Masjid-e-viran Mein Rahe

hum na but-KHane mein ne masjid-e-viran mein rahe

hasrat-o-arzu-e-jalwa-e-jaanan mein rahe

KHun hai wo jis se ki ho daman-e-qatil rangin

KHun fasid hai jo KHali sar-e-mizhgan mein rahe

hum ne masnua se sane ki haqiqat pai

be-sabab hum nahin nazzara-e-KHuban mein rahe

subh KHurshid ko dekha hawas-e-ariz mein

sham se raushni-e-sham-e-shabistan mein rahe

toDa zunnar ko tasbih ko phenka hum ne

ishq-e-ruKH tha hawas-e-nur-e-daraKHshan mein rahe

ja-ba-ja hum ko rahi jalwa-e-jaanan ki talash

dair-o-kaba mein phire sohbat-e-rahban mein rahe

KHalwat-e-dil ki na kuchh qadr ko samjhe haji

tauf-e-kaba ke liye dasht-o-bayaban mein rahe

un asiron ko hui qaid-e-tayyun se najat

jo ki paband tere gesu-e-pechan mein rahe

is zamin mein ghazal ek aur bhi likkho 'bahram'

ye do-ghazla to bhala aap ke diwan mein rahe

(961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Na But-KHane Mein Ne Masjid-e-viran Mein Rahe In English By Famous Poet Bahram Ji. Hum Na But-KHane Mein Ne Masjid-e-viran Mein Rahe is written by Bahram Ji. Read famous Poem Hum Na But-KHane Mein Ne Masjid-e-viran Mein Rahe for youth and Student by Bahram Ji. Free Download Hum Na But-KHane Mein Ne Masjid-e-viran Mein Rahe in PDF.