Jo Hai Yan Aasaish-e-ranj-o-mehan Mein Mast Hai

jo hai yan aasaish-e-ranj-o-mehan mein mast hai

kucha-e-jaanan mein hum hain qais ban mein mast hai

tere kuche mein hai qatil raqs-gah-e-ashiqan

koi ghaltan sar-ba-kaf koi kafan mein mast hai

mai-kade mein baada-kash but-KHane mein hain but-parast

jo hai aalam mein wo apni anjuman mein mast hai

nikhat-e-zulf-e-sanam se yan moattar hai dimagh

koi mushk-chin koi mushk-e-KHutan mein mast hai

hai koi mahw-e-namaz aur KHum-kade mein koi mast

dil mera ishq-e-butan-e-dil-shikan mein mast hai

hai musalman ko hamesha aab-e-zamzam ki talash

aur har ek barhaman gang-o-jaman mein mast hai

aks-e-ru-e-shama-ru hai mere dil mein ja-guzin

dil mera is aatish-e-lama-fagan mein mast hai

hai mera har sher-e-tar 'bahram' kaisa pur-asar

jis ko dekho majlis-e-ahl-e-suKHan mein mast hai

(1162) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Hai Yan Aasaish-e-ranj-o-mehan Mein Mast Hai In English By Famous Poet Bahram Ji. Jo Hai Yan Aasaish-e-ranj-o-mehan Mein Mast Hai is written by Bahram Ji. Read famous Poem Jo Hai Yan Aasaish-e-ranj-o-mehan Mein Mast Hai for youth and Student by Bahram Ji. Free Download Jo Hai Yan Aasaish-e-ranj-o-mehan Mein Mast Hai in PDF.