Kab Tasawwur Yar-e-gul-ruKHsar Ka Feal-e-abas

kab tasawwur yar-e-gul-ruKHsar ka feal-e-abas

ishq hai is gulshan-o-gulzar ka feal-e-abas

nikhat-e-gasu-e-KHuban ne kiya be-qadr use

ab hai sauda nafa-e-tatar ka feal-e-abas

rishta-e-ulfat rag-e-jaan mein buton ka paD gaya

ab ba-zahir shaghl hai zunnar ka feal-e-abas

aarzu-mand-e-shahadat aashiq-e-sadiq hue

ghair ko Dar hai teri talwar ka feal-e-abas

jab dil-e-sangin-dilan mein kuchh asar hota nahin

girya hai is dida-e-KHun-bar ka feal-e-abas

KHwab mein bhi yar ko is ka KHayal aata nahin

jagna tha dida-e-bedar ka feal-e-abas

KHali-az-hikmat hua 'bahram' kab fel-e-hakim

kaam kab hai dawar-e-dadar ka feal-e-abas

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Tasawwur Yar-e-gul-ruKHsar Ka Feal-e-abas In English By Famous Poet Bahram Ji. Kab Tasawwur Yar-e-gul-ruKHsar Ka Feal-e-abas is written by Bahram Ji. Read famous Poem Kab Tasawwur Yar-e-gul-ruKHsar Ka Feal-e-abas for youth and Student by Bahram Ji. Free Download Kab Tasawwur Yar-e-gul-ruKHsar Ka Feal-e-abas in PDF.