Kiya Hai Sandalin-rangon Ne Dar Band

kiya hai sandalin-rangon ne dar band

mera ho kis tarah se dard-e-sar band

nahin hain tere dam-e-zulf mein dil

laTakte hain hazaron murgh par-band

nahin but-KHana o kaba pe mauquf

hua har ek patthar mein sharar band

raqibon se hui hai bazm KHali

karo darwaza be-KHauf-o-KHatar band

tamasha band aankhon mein hai mujh ko

hui meri ba-zahir chashm-e-tar band

nahin duniya mein aazadi kisi ko

hai din mein shams aur shab ko qamar band

dikhao mai-kasho ab zor-e-masti

kiya zahid ne mai-KHane ka dar band

dar-e-jaanan bhi ek marja hai 'bahram'

hujum-e-ashiqan hai rahguzar band

(828) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kiya Hai Sandalin-rangon Ne Dar Band In English By Famous Poet Bahram Ji. Kiya Hai Sandalin-rangon Ne Dar Band is written by Bahram Ji. Read famous Poem Kiya Hai Sandalin-rangon Ne Dar Band for youth and Student by Bahram Ji. Free Download Kiya Hai Sandalin-rangon Ne Dar Band in PDF.