PaDe Hain Rah Mein Jo Log Be-sabab Kab Se

paDe hain rah mein jo log be-sabab kab se

pukarti hai unhen manzil-e-talab kab se

ye aur baat makinon ko kuchh KHabar na hui

laga rahe the muhafiz magar naqab kab se

koi bhi harba-e-tashhir kargar na hua

tamashbin hi rahi shohrat-e-adab kab se

ukhaD gai hain tanaben sitam ke KHemon ki

ulaT gai hai bisat-e-hasab-nasab kab se

na hausla hai dua ka na aah par hai yaqin

ki hum se ruTh gaya hai hamara rab kab se

samundaron se koi mauj-e-sar-buland uThe

ki sahilon pe taDapte hain jaan-ba-lab kab se

wo hum ne chun diye tanqid ki salibon par

machal rahe the jo kuchh harf zer-e-lab kab se

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PaDe Hain Rah Mein Jo Log Be-sabab Kab Se In English By Famous Poet Bakhsh Layalpuri. PaDe Hain Rah Mein Jo Log Be-sabab Kab Se is written by Bakhsh Layalpuri. Read famous Poem PaDe Hain Rah Mein Jo Log Be-sabab Kab Se for youth and Student by Bakhsh Layalpuri. Free Download PaDe Hain Rah Mein Jo Log Be-sabab Kab Se in PDF.