Chaal Apni Ada Se Chalte Hain

chaal apni ada se chalte hain

hum kahan kaj-rawi se Talte hain

zindagi be-ruKHi se pesh na aa

tujh pe ehsan mere nikalte hain

kardan hain bala ke sab chehre

aaine ko hunar se chhalte hain

koi aatish-fishan hai sine mein

ashk misl-e-sharar nikalte hain

us ke tarz-e-suKHan ke mare log

apna lahja kahan badalte hain

aaj so lun ki hai suhulat-e-shab

din kahan roz roz Dhalte hain

aa gai lau KHizan ki parbat tak

wadiyon mein chinar jalte hain

panja-e-zehn ke tale paiham

tair-e-dil kai machalte hain

KHwab ka jin na aaega bahar

be-sabab aap aankh malte hain

tujh se kirdar hon 'bakul' jin mein

aise qisse kahan sambhalte hain

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaal Apni Ada Se Chalte Hain In English By Famous Poet Bakul Dev. Chaal Apni Ada Se Chalte Hain is written by Bakul Dev. Read famous Poem Chaal Apni Ada Se Chalte Hain for youth and Student by Bakul Dev. Free Download Chaal Apni Ada Se Chalte Hain in PDF.