Dil Se Be-sud Aur Jaan Se KHarab

dil se be-sud aur jaan se KHarab

ho raha hun kahan kahan se KHarab

gham ki dahliz hai bhali kitni

koi uThta nahin yahan se KHarab

main mera aks aur aaina

ye nazara tha darmiyan se KHarab

KHud ko tamir karte karte main

ho gaya hun yahan wahan se KHarab

raushni ek haqir tare ki

aa gai ho ke kahkashan se KHarab

zer-e-lab rakh chhupa ke nam us ka

lafz hote hain kuchh bayan se KHarab

ek muddat se hun main munkir-e-ishq

aa mujhe kar de apni han se KHarab

rang nikhre hain phir wahin pe 'bakul'

meri taswir thi jahan se KHarab

(660) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Se Be-sud Aur Jaan Se KHarab In English By Famous Poet Bakul Dev. Dil Se Be-sud Aur Jaan Se KHarab is written by Bakul Dev. Read famous Poem Dil Se Be-sud Aur Jaan Se KHarab for youth and Student by Bakul Dev. Free Download Dil Se Be-sud Aur Jaan Se KHarab in PDF.