Kaun Kahta Hai Thahar Jaana Hai

kaun kahta hai Thahar jaana hai

rang chaDhna hai utar jaana hai

zindagi se rahi sohbat barson

jate jate hi asar jaana hai

TuTne ko hain sadaen meri

KHamushi tujh ko bikhar jaana hai

KHwab naddi sa guzar jaega

dasht aankhon mein Thahar jaana hai

koi din hum bhi na yaad aaenge

aaKHirash tu bhi bisar jaana hai

koi dariya na samundar na sarab

tishnagi bol kidhar jaana hai

laghzishen jaengi jate jate

nashsha mana ki utar jaana hai

naqsha chhoDa hai hawa ne koi

kaun si samt safar jaana hai

zindagi se hain pasheman hum bhi

kal ye dawa tha ki mar jaana hai

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Kahta Hai Thahar Jaana Hai In English By Famous Poet Bakul Dev. Kaun Kahta Hai Thahar Jaana Hai is written by Bakul Dev. Read famous Poem Kaun Kahta Hai Thahar Jaana Hai for youth and Student by Bakul Dev. Free Download Kaun Kahta Hai Thahar Jaana Hai in PDF.