Mere Kuchh Bhi Kahe Ko KaTta Hai

mere kuchh bhi kahe ko kaTta hai

wo apne daere ko kaTta hai

main is bazar ke qabil nahin hun

yahan khoTa khare ko kaTta hai

udas aankhen pahanti hain hansi ko

phir aansu qahqahe ko kaTta hai

na mujh ko hain qubul apni KHataen

na wo apne likhe ko kaTta hai

tawajjoh chahta hai gham purana

so rah rah kar nae ko kaTta hai

wahi aansu wahi mazi ke qisse

jise dekho kaTe ko kaTta hai

(660) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Mere Kuchh Bhi Kahe Ko KaTta Hai In English By Famous Poet Bakul Dev. Mere Kuchh Bhi Kahe Ko KaTta Hai is written by Bakul Dev. Read famous Poem Mere Kuchh Bhi Kahe Ko KaTta Hai for youth and Student by Bakul Dev. Free Download Mere Kuchh Bhi Kahe Ko KaTta Hai in PDF.