Samaat Ke Liye Ek Imtihan Hai

samaat ke liye ek imtihan hai

KHamoshi in dinon misl-e-bayan hai

safar apne hi bhitar kar raha hun

mera Thahraw muddat se rawan hai

hawas shamil hai thoDi si dua mein

abhi is lau mein halka sa dhuan hai

naya ek KHwab dekhen aur roen

ab itni tab aankhon mein kahan hai

uDa deti hai apni KHak jab tab

zamin ki justuju bhi aasman hai

tabhi aahon ke sur uThte hain is se

hamara soz-e-jaan hi saz-e-jaan hai

hamesha dur se dekha kiya hun

jahan mujh ko jawahir ki dukan hai

mera kirdar is mein ho gaya gum

tumhaari yaad bhi ek dastan hai

mohabbat ek kashti muKHtasar si

tamannaon ka dariya be-karan hai

main sare fasle tai kar chuka hun

KHudi jo darmiyan thi darmiyan hai

'bakul' KHwabon ke panchhi aa base hain

hamara aashiyan ab aashiyan hai

(907) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samaat Ke Liye Ek Imtihan Hai In English By Famous Poet Bakul Dev. Samaat Ke Liye Ek Imtihan Hai is written by Bakul Dev. Read famous Poem Samaat Ke Liye Ek Imtihan Hai for youth and Student by Bakul Dev. Free Download Samaat Ke Liye Ek Imtihan Hai in PDF.