Kahan Se Manzar SameT Lae Nazar Kahan Se Udhaar Mange

kahan se manzar sameT lae nazar kahan se udhaar mange

riwayaton ko na maut aae to zindagi intishaar mange

safar ki ye kaisi wusaten hain ki rasta hai na koi manzil

thakan ka ehsas bhi na utre qadam qadam rahguzar mange

talash ke bawajud sach hai ki mere hisse mein kuchh na aaya

ki main ne KHushiyan hazar DhunDin ki dard main ne hazar mange

agar wo dena hi chahta hai to manzilon ka suragh de de

agar use mangna hi Thahre to raston ka ghubar mange

kabhi achanak hi gher lete hain rah mein na-guzir lamhe

koi kahan tak panah DhunDe koi kahan tak farar mange

sazaen tajwiz kar ke rakkho ye ek lamha-e-fikriya hai

ki koi 'balraj' apni marzi se jine ka iKHtiyar mange

(743) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Se Manzar SameT Lae Nazar Kahan Se Udhaar Mange In English By Famous Poet Balraj Bakshi. Kahan Se Manzar SameT Lae Nazar Kahan Se Udhaar Mange is written by Balraj Bakshi. Read famous Poem Kahan Se Manzar SameT Lae Nazar Kahan Se Udhaar Mange for youth and Student by Balraj Bakshi. Free Download Kahan Se Manzar SameT Lae Nazar Kahan Se Udhaar Mange in PDF.