Kahin Bhi Zindagi Apni Guzar Sakta Tha

kahin bhi zindagi apni guzar sakta tha

wo chahta to main danista haar sakta tha

zamin panw se mere lipaT gai warna

main aasman se tare utar sakta tha

jala rahi hain jise tez dhup ki nazren

wo abr bagh ki qismat sanwar sakta tha

ajib moajaza-kari thi us ki baaton mein

ki wo yaqin ke jazire ubhaar sakta tha

mere makan mein diwar hai na darwaza

mujhe to koi bhi ghar se pukar sakta tha

pur-itminan thin us ki rifaqaten 'balraj'

wo aaine mein mujhe bhi utar sakta tha

(662) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Bhi Zindagi Apni Guzar Sakta Tha In English By Famous Poet Balraj Bakshi. Kahin Bhi Zindagi Apni Guzar Sakta Tha is written by Balraj Bakshi. Read famous Poem Kahin Bhi Zindagi Apni Guzar Sakta Tha for youth and Student by Balraj Bakshi. Free Download Kahin Bhi Zindagi Apni Guzar Sakta Tha in PDF.