Nanha Shahsawar

shahsawar

nanha-munna shahsawar

istada hai

KHamida pusht par meri

jun-hi jhukta hun

wo targhib deta hai

mujhe chalne ki

aawazon ki sargam se

main chalta hun

main wamanda qadam chalta hun

wo mahmez ki jumbish se kahta hai ki dauDo

aur dauDo, tez-tar, sarpaT chalo

baad-e-naghma-kar se baaten karo

us ka main raKHsh-e-raza

tez-tar karta hun raftar-e-KHiram

mujh ko pahunchana hai aaj

us ko rangon titliyon ke des mein

jadu-nagar mein

mere sae ka bhi ab shayad jahan

muntazir koi nahin

muntazir hain us ke lekin, mere nanhe dost ke

dew-qamat sabz warafta-waqar

dur tak sargoshiyan karte hue ashjar

raqs-e-barg-o-bar

ja raha hai KHwab ki raftar se

diwana-war

mera nanha shahsawar

(1246) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nanha Shahsawar In English By Famous Poet Balraj Komal. Nanha Shahsawar is written by Balraj Komal. Read famous Poem Nanha Shahsawar for youth and Student by Balraj Komal. Free Download Nanha Shahsawar in PDF.