Saba Ke Hath Pile Ho Gae

saba ke hath pile ho gae

main saat-e-sarshaar mein

lakhon duaen

KHub-surat aarzuen

pesh karta hun

saba mamnun hai

lekin zaban hai

kuchh nahin kahti

saba ab roz o shab

diwar-o-dar tan par sajati hai

ab aanchal chhat ka sar par oDhti hai

lams-e-farsh-e-marmarin se

panw ki tazin karti hai

wo kohsaron shagufta wadiyon jharnon

chamakte nil-gun aakash ke

naghme nahin gati

saba ab lala-o-gul ki taraf shayad nahin aati

saba shabnam-ada taswir-e-pa-basta

dar-e-rauzan mein aawezan

hasin nazuk badan

raushan munawwar sahilon par ab nahin bahti

saba lab kholti hai muskuraati hai

saba sargoshiyon mein

ab kisi se kuchh nahin kahti

(1204) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saba Ke Hath Pile Ho Gae In English By Famous Poet Balraj Komal. Saba Ke Hath Pile Ho Gae is written by Balraj Komal. Read famous Poem Saba Ke Hath Pile Ho Gae for youth and Student by Balraj Komal. Free Download Saba Ke Hath Pile Ho Gae in PDF.