Alaw

charagh imroz bujh raha hai

dhuen ki maujen ubhar rahi hain

shab-e-siyah muntazir khaDi hai

andhera chup-chap chha raha hai

abhi hamare gharon ke andar

sulag uThenge alaw apne hi jism indhan ka kaam denge

gharon se bahar

shajar pe ullu ki sard chiKHen

hansnegi hum par

ki naghmagi koi shai nahin hai

ki zindagi koi shai nahin hai

khanDar ki jaanib nazar uThao

ye dur se kitna KHubsurat dikhai deta hai pas jao

to maut ki ek dastan hai

jamal-e-shab wahima hai ai dil

hamari basti mein rahne wale

purane mai-KHwar waqif-e-dard-o-gham nahin hain

hamin hain donon

ye main ye tu hum jalenge shab-bhar

(2102) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Alaw In English By Famous Poet Balraj Komal. Alaw is written by Balraj Komal. Read famous Poem Alaw for youth and Student by Balraj Komal. Free Download Alaw in PDF.