Dur Ka Safar

main nan-e-soKHta ka zaiqa

utarta hun

roz-o-shab

zaban par

ki us ki hamdami mein

dosti mein

umr ke nasheb mein

agar main Dhal sakun

to fasl aaftab ka

wo barg-e-zard ban sakun

jo daere ki intiha pe sirf

mausamon ke KHwab dekhta hun

subh-o-sham sochta hun

aarzu

fareb-kar shahida

kahan mili thi aur kaun se hasin moD tak

chalegi mere sath mere sath

ju-e-ab ju-e-mai

rida-e-KHak

dur ke safar ke log

bad-guman saaton ke shahr

main chalunga

main dasht-o-kohsar ki

udas hijraton ko

nannhi-munni loriyan sunaunga

main jangalon ki

sansanahaTon ke par jaunga

(2160) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dur Ka Safar In English By Famous Poet Balraj Komal. Dur Ka Safar is written by Balraj Komal. Read famous Poem Dur Ka Safar for youth and Student by Balraj Komal. Free Download Dur Ka Safar in PDF.