KHargosh Ka Gham
harif kaun tha ghaliz bad-numa sa jaanwar
wo be-KHabar
jo rengta hua chala
jo rengta chala gaya
na jaane kis jahan se tumhaari rah mein aa gaya
usul ban ke zindagi ke aasman pe chha gaya
tumhein ye gham sata raha hai aaj bhi
ghalat ghaDi mein nind tum ko aa gai
sitam ajib Dha gai
mazaq hi mazaq mein
zamane-bhar ke samne tumhaara sar jhuka gai
yaqin se farar tak
hazar marhale tumhaare zehn se guzar gae
dil-o-nazar ko waswason se bhar gae
shikast ki KHalish baDi shadid thi
kisi tarah na miT saki
huruf-e-pur-KHatar se faislon ko tolti rahi
ana ke muztarib lahu mein zahr gholti rahi
(1409) Peoples Rate This