Mausam
asir-e-arzu hujum-e-be-aman
sharab roz-o-shab ki aatish-rawan mein
barhami ke qahqahon ki bazgasht
ab hamare darmiyan
ajib KHwahishon ke bij bo rahi hai
mere waste jo ajnabi hai
us ko pas se guzarta dekh lun to us ki raushni
ko noch lun
jo us ke KHun mein utar rahi hai
us ke ek pal ko dusre se joDti hai
tairti hai sans mein
hawa ki wo sharir mauj chhin lun
wo jaanwar hamari nasl ka nahin
wo kyun hanse wo kyun jiye
hamare ru-ba-ru hamari aarzu ke ru-ba-ru
wo is zamin pe kyun chale
ajib KHwahishen ajab KHwahishon ki ham-safar
har ek aaina magar hai dusre ke samne
ghaliz suraten ghaliz suraton ke samne
main ajnabi wo ajnabi
asir aarzu bhi magar siyah ka dil dil be-KHabar
wo daera rawan hai jis ke har safar ki intiha
maqam-e-marg-e-tazgi maqam-e-marg-e-naghmagi
hawa nami safed dhup zard phul dekhte hi dekhte guzar gae
hamari aarzu ke bich mausamon pe chha gae
(1623) Peoples Rate This