Saqi Khulta Hai Paimana Khulta Hai

saqi khulta hai paimana khulta hai

sachche rindon par mai-KHana khulta hai

un galiyon mein log bhaTakte dekhe hain

jin galiyon mein danish-KHana khulta hai

mujh ko paDhne aa jate hain lakhon log

jab bhi ghazlon ka tah-KHana khulta hai

tum par shayad chaar bahaaren khulti hon

mujh se to har pal virana khulta hai

sab ki aankhon mein aansu aa jate hain

'azar' jab koi diwana khulta hai

(724) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Saqi Khulta Hai Paimana Khulta Hai In English By Famous Poet Balwan Singh Azar. Saqi Khulta Hai Paimana Khulta Hai is written by Balwan Singh Azar. Read famous Poem Saqi Khulta Hai Paimana Khulta Hai for youth and Student by Balwan Singh Azar. Free Download Saqi Khulta Hai Paimana Khulta Hai in PDF.