Kya Puchhte Ho Main Kaisa Hun

kya puchhte ho main kaisa hun

ek sard hawa ka jhonka hun

hai meri ruh mein bechaini

main apne aap mein uljha hun

hai mera saya aur koi

main aur kisi ka saya hun

tu KHush hai apni duniya mein

main teri yaad mein jalta hun

ab lauT ke aa aur dekh 'baqa'

ek umr se tanha tanha hun

(1011) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544