Kya Kahen Kya Husn Ka Aalam Raha

kya kahen kya husn ka aalam raha

wo rahe aur aaina maddham raha

zindagi se zindagi ruThi rahi

aadmi se aadmi barham raha

rah gai hain ab wahan parchhaiyan

ek zamane mein jahan aadam raha

pas rah kar bhi rahe hum dur dur

is tarah us ka mera sangam raha

tu mere afkar mein har pal rahi

main tere ehsas mein har dam raha

ji rahe the hum to duniya thi KHafa

mar gae to der tak matam raha

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kahen Kya Husn Ka Aalam Raha In English By Famous Poet Baqa Baluch. Kya Kahen Kya Husn Ka Aalam Raha is written by Baqa Baluch. Read famous Poem Kya Kahen Kya Husn Ka Aalam Raha for youth and Student by Baqa Baluch. Free Download Kya Kahen Kya Husn Ka Aalam Raha in PDF.