Ab KHanuman-KHarab Ki Manzil Yahan Nahin

ab KHanuman-KHarab ki manzil yahan nahin

kahne ko aashiyan hai magar aashiyan nahin

ishq-e-sitam-nawaz ki duniya badal gai

husn-e-wafa-shanas bhi kuchh bad-guman nahin

mere sanam-kade mein kai aur but bhi hain

ek meri zindagi ke tumhin raaz-dan nahin

tum se bichhaD ke mujh ko sahaara to mil gaya

ye aur baat hai ki main kuchh shadman nahin

apne hasin KHwab ki tabir KHud kare

itna to mo'tabar ye dil-e-na-tawan nahin

zulf-e-daraaz qissa-e-gham mein ulajh na jae

andesha-ha-e-ishq kahan hain kahan nahin

har har qadam pe kitne sitare bikhar gae

lekin rah-e-hayat abhi kahkashan nahin

sailab-e-zindagi ke sahaare baDhe chalo

sahil pe rahne walon ka nam-o-nishan nahin

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab KHanuman-KHarab Ki Manzil Yahan Nahin In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Ab KHanuman-KHarab Ki Manzil Yahan Nahin is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Ab KHanuman-KHarab Ki Manzil Yahan Nahin for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Ab KHanuman-KHarab Ki Manzil Yahan Nahin in PDF.