Ajib Dil Mein Mere Aaj Iztirab Sa Hai!

ajib dil mein mere aaj iztirab sa hai!

khuli hai aankh samundar bhi ek KHwab sa hai!

Thahar Thahar ke bajata hai koi sazina

main kya karun mere sine mein ek rubab sa hai!

bujhegi pyas meri zahr-e-agahi se kabhi

mere dayar mein us ka maza sharab sa hai!

main kyun kisi se sar-e-rah rahbari mangun?

nai hai manzil-e-gham ek yahi jawab sa hai!

chamakti ret se rah rah ke uTh rahi nawa

koi mazar tha pahle ki ab sarab sa hai!

hadaf bana ke na ruswa karo zamane mein

gharib-e-shahr hun rutba mera janab sa hai!

main chhoD aaya hun muddat hui gharibi ko

ye mera saya baDa KHanuman-KHarab sa hai!

na jaane kaise main sail-e-rawan se bach nikla?

ye zindagi ka tamasha to ek habab sa hai!

main kaise KHud ko samajh paun be-kasi ye hai?

ki aaina nahin akson ka ek naqab sa hai!

nazar mila ke main us se guzar gaya 'baqar'

na jaane mujh se KHafa ye ki la-jawab sa hai!

(908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Dil Mein Mere Aaj Iztirab Sa Hai! In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Ajib Dil Mein Mere Aaj Iztirab Sa Hai! is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Ajib Dil Mein Mere Aaj Iztirab Sa Hai! for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Ajib Dil Mein Mere Aaj Iztirab Sa Hai! in PDF.